khila hai phul bahut roz mein muqaddar ka bas ab na band ho darwaza tere mandar ka tamam shahr hai hangama-e-nashat mein gum magar ye karb ye sannata mere andar ka kabhi na khul ke hansa hun na roya ji bhar ke rakha hai main ne hamesha qadam barabar ka sada kisi ki ho aata hai apne aap se khauf wo ajnabi hun ki ghar ka raha na bahar ka gurez hai use meri gali se yun jaise yahan jo aaya to ho jaega wo patthar ka ye gahe gahe ka milna bhi koi milna hai jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar ka kabhi kabhi ka ho qissa to koi dukh bhi sune uthae bojh bhala kaun zindagi bhar ka asir-e-dam-e-fareb-e-zaban hua aakhir na e'tibar jise aaya dida-e-tar ka gham-e-zamana hai wo tegh-e-tishna-kaam 'anjum' ude hain panw agar war bach gaya sar ka