khinch lai thi mujhe KHushbu hi tere pairahan ki

khinch lai thi mujhe khushbu hi tere pairahan ki
par teri aankhon mein hai wahshat bhi aahu-e-khutan ki

ishq ki aatish kahan barud ke shoale hain raqsan
ab kahan wo zulf aur wo dastan dar-o-rasan ki

kya hue wo din ki jab aksar mayassar thi mujhe bhi
din ko zulmat zulf ki aur dhup shab ko sim-tan ki

aatish-e-furqat se main shab ko ujala mangta hun
ishq mein hoti nahin hai had koi diwane-pan ki

raushni jis ki meri aankhon ko khira kar chuki hai
rakh kar ke chhod degi ab hararat is badan ki

dekh ke raste ke manzar sab ke sab the gharq-e-hairat
yaad aise mein bhala aati kise apne watan ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close