KHirqa-poshi mein KHud-numai hai

khirqa-poshi mein khud-numai hai
hath bas kasa-e-gadai hai

boriya bhi nahin use darkar
jis ke tain shauq-e-be-riyai hai

gul sab hanste hain bazm-e-gulshan mein
ishq-e-bulbul magar riyai hai

jald jati hai aasman upar
aah meri ajab hawai hai

sham-e-mina ke nur sun saqi
mahfil dil mein raushnai hai

har ghadi dekhta hai darpan kun
shokh mein tarz-e-khud-numai hai

jab sun dekha hun us ki zulf-e-daraaz
tab sun mujh fikr mein rasai hai

kan u dekha hai khwab mein makhmal
tujh kaf-e-pa mein jo safai hai

kyun na hue mah-e-nau misal-e-aziz
jis mane rasm-e-kam-numai hai

dast-e-gul-ru mein pahunchne 'daud'
kaghaz-e-khat mera hinai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close