KHizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai

khizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai
bahaar aane ki surat nikal bhi sakti hai

jala ke shama ab uth uth ke dekhna chhodo
wo zimmedari se az-khud pighal bhi sakti hai

hai shart subh ke raste se ho ke sham aae
to raat us ko sahar mein badal bhi sakti hai

zara sambhal ke jalana aqidaton ke charagh
bhadak na jaen ki masnad ye jal bhi sakti hai

abhi to chaak pe jari hai raqs mitti ka
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai

ye aaftab se kah do ki fasla rakkhe
tapish se barf ki diwar gal bhi sakti hai

tere na aane ki tashrih kuchh zaruri nahin
ki tere aate hi duniya badal bhi sakti hai

koi zaruri nahin wo hi dil ko shad kare
'alina' aap tabiat bahal bhi sakti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close