haal-e-dil sun ke mera sar-ba-gareban kyun hain

haal-e-dil sun ke mera sar-ba-gareban kyun hain
jo kiya aap ne ab us pe pasheman kyun hain

mad-bhare nain ye aur husn-o-jawani ka nikhaar
aaina dekh ke aaj aap bhi hairan kyun hain

meri har sai-e-wafa ho gai be-kar magar
dil mein phir bhi mere badhte hue arman kyun hain

meri nakaamiyon ka marsiya padhne ke bajae
kuchh bataen to sahi aap ghazal-khwan kyun hain

pahle aaghaz-e-mohabbat mein sahaara de kar
aap ab meri mohabbat se pareshan kyun hain

mere ashaar to padhte hain bade shauq se aap
aur ashaar ke khaliq se gurezan kyun hain

bahr-e-ulfat mein safine to bahut hain ai 'mauj'
meri hi kashti ko ghere hue tufan kyun hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close