khizan mein sukh gaya main to ye muqaddar tha wo naunihaal kahan hai jo mere andar tha wo aable jo rah-e-arzu mein phut gae safar ka lutf unhin aablon mein muzmar tha nuqush-e-dard tarashe ghamon ke rang bhare main jaise dast-e-mashiyyat mein koi patthar tha tumhaari yaad ke sae bhi kuchh simat se gae ghamon ki dhup to bahar thi aks andar tha mera wajud bhi tarikh hai zamane ki mujhe bhi padh ke kabhi dekhte to behtar tha dayar-e-fikr-o-nazar kuchh dhuan dhuan sa hai junun ki shamen thin raushan to khub manzar tha wahi hai aaj zamin par kharab-o-khasta-o-khwar jo apni shan mein nuraniyon se behtar tha 'shamim' aaj sar-e-rahguzar-e-zist mila jo tah-ba-tah ghane zakhmon ka ek paikar tha