kho jaun musht-e-KHak mein aisa nahin hun main

kho jaun musht-e-khak mein aisa nahin hun main
dariya hun apni zat mein qatra nahin hun main

guzrunga jis jagah se nishan chhod jaunga
aandhi hun apne waqt ki jhonka nahin hun main

manzil se ye kaho ki kare mera intizar
thahra hua zarur hun bhatka nahin hun main

puchhi hai khat mein aap ne jo khairiyat meri
kaise likhun janab ki achchha nahin hun main

khushbu tere badan ki mere sath sath hai
kah de koi hawaon se tanha nahin hun main

husn-o-shabab saghar-o-mina the samne
lekin kisi bhi shab kahin thahra nahin hun main

de kar khilaune mujh ko jo bahla rahe hain log
'ejaz' un se kah do ki bachcha nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close