khoe gae to aaine ko moatabar kiya

khoe gae to aaine ko mo'atabar kiya
hum ne teri talash mein apna safar kiya

be-ghar musafiron ke muqaddar mein khak hai
so hum ne gard-e-rah ko diwar-o-dar kiya

us markaz-e-jamal ke hum bhi asir hain
jis markaz-e-jamal ne har dil mein ghar kiya

shahr-e-wafa khamosh hai patthar bane baghair
kaisa fareb-e-koh-e-nida ne asar kiya

bazu samette hain darakhton pe kuchh tuyur
shayad kisi ne tazkira-e-baal-o-par kiya

yaadon ki bhid mein bhi hai tanhai ham-safar
us ki ho khair jis ne hamein dar-ba-dar kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close