khol di hai zulf kis ne phul se rukhsar par chha gai kali ghata si aan kar gulzar par kya hi afshan hai jabin o abru-e-khamdar par hai charaghan aaj kabe ke dar o diwar par naqsh-e-pa panch-shakha qabar par raushan karo mar gaya hun main tumhaari garmi-e-raftar par chashm-e-bad dur aaj hai ye kaun gul-ru jhankta chashm-e-nargis ka hai aalam rauzan-e-diwar par na-tawan ka bhala kis munh se main shikwa karun khal hai yan mahr khamosh lab-e-guftar par hum azal se intizar-e-yar mein soe nahin aafrin kahiye hamare dida-e-bedar par kufr apna ain din-dari hai gar samjhe koi ijtima-e-subha yan mauquf hai zunnar par thokaren khaega ek din sar-kashi itni na kar o sar-e-be-maghz kyun bhula hai is dastar par zulf us ki apne haq mein dekhiye kahti hi kya hai hamara faisla ab to zaban-e-mar par gar chaman mein hum se be-bargon ko ja deti nahin khar ki manind bithla den sar-e-diwar par hai agar irfan ka talib khaksari kar shiar dekhte hain aaine aksar laga diwar par abru-o-mizhgan se us ke dekhen dil kyunkar bache ab to naubat aa gai hai tir aur talwar par intiha-e-ishq mein di jaan main ne is liye lala ba-sad dagh ugta hai mere kohsar par rabta gar ghair se ho yar ko chahun main main na bulbul hun ki marta hun gul-e-be-e-khar par dil jala aisa hun mera nam le baitha jo wo pad gae chhaale zaban-e-murgh-e-atish-e-khwar par uth ke but-khane se masjid ko agar jaega tu saikdon tutengi tasbihen tere zunnar par haif ku-e-yar tak pahunchi na meri ustukhan muddaton aa kar huma baitha raha diwar par sukh jaen gar hamari aablon ki chhagalen pas se kante nazar aaen zaban-e-khar par baad murdan bhi hai baqi meri nalon ka asar tar-e-mutrib ka hai aalam har kafan ki tar par teri aab-e-tegh se zalim jo ho tufan bapa maut tadpi misl-e-mahi gumbad-e-dawwar par khat use itne likhe main ne ki wan bhar jawab baithe rahte hain kabutar saikdon diwar par hashr tak mumkin nahin ab chamki tegh-e-aftab bada rakhwata hai zalim maghribi talwar par kafsh-e-pa ki gul dikha kar hans ke yun kahne laga sair ko kyun jaun gulshan hai mere bezar par dekhiyo zid mere murgh-e-nama-bar ke waste qainchiyan lagwain hain be-rahm ne diwar par yar ko malum hota hai hijr mein soya nahin khat likhun goya bayaz-e-dida-e-bedar par