kholi jo tuk ai ham-nashin us dil-ruba ki zulf kal kya kya jatae kham ke kham kya kya dikhae bal ke bal aata jo bahar ghar se wo hoti hamein kya kya khushi gar dekh lete hum use phir ek dam ya ek pal din ko to bim-e-fitna hai hum us se mil sakte nahin aata hai jis dam khwab mein jab dekhte hain be-khalal kya bebasi ki baat hai yaro 'nazir' ab kya kare wo aane wan deta nahin aati nahin yan ji mein kal