khoT ki mala jhuT jaTaen apne apne dhyan

khot ki mala jhut jataen apne apne dhyan
apna apna mandir mimbar apne rab bhagwan

ghar jaane ki koi duji rah nikali jae
aan ke rah mein baith gaya hai ek jogi anjaan

zakhmi suraj zahr mein bhigi lo pyase panchhi
tuti bikhri hijr-gali mein kuchh shakhen be-jaan

apne dukh ka ghunt gala aur yar ke aansu odh
un aankhon ke dard se badh kar kya hoga nuqsan

siski ko bahla lena hichki ko sahlana
umr ganwa kar milta hai ye fan mere nadan

khamoshi ki kathinai mein chup ki bipta mein
us aawaz ka shahd ghule to mil jae nirwan

jaana dekh aana kuchh rang abhi bahta hoga
shahr ke chaurahe mein kal ek khwab hua qurban

unche niche daen baen mitti ke tile
aashaon ke sard badan bhitar ka qabristan

aayat aayat nur ka paikar harf harf mahkar
do 'simab' sifat honton par thi sura rahman


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close