KHud aazma ke bhi dawe ajal ke dekhte hain

khud aazma ke bhi dawe ajal ke dekhte hain
dayar-e-shauq mein ek bar chal ke dekhte hain

pighalti hai ki nahin barf-e-na-shanasai
kisi ki garam-nigahi se jal ke dekhte hain

ye dasht-e-hu sar-e-gulshan kahan se aa nikla
ye moajiza hai to ghar se nikal ke dekhte hain

jinhen mili hi nahin chashm-o-dil ki binai
tamashe wo bhi khumar-e-azal ke dekhte hain

usi ke zikr se mahfil mein phul khilte the
wo aa gaya hai to sab aankh mal ke dekhte hain

kisi ko aaj ke haalat par qarar nahin
hamare shahr mein sab khwab kal ke dekhte hain

abhi to lams-e-badan ka hisab baqi hai
talluqat ke pahlu badal ke dekhte hain

na koi nara-e-tahsin-numa na dad-e-sukhan
ki sunne wale bhi tewar ghazal ke dekhte hain

na jaane kab sar-e-aina khauf likh jae
hum apna chehra bhi 'nami' sambhal ke dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close