KHud apna aks hun ki kisi ki sada hun main

khud apna aks hun ki kisi ki sada hun main
yun shahr ta-ba-shahr jo bikhra hua hun main

main dhundne chala hun jo khud apne-ap ko
tohmat ye mujh pe hai ki bahut khud-numa hun main

mujh se na puchh nam mera ruh-e-kaenat
ab aur kuchh nahin hun tera aaina hun main

jab nind aa gai ho sada-e-jaras ko bhi
meri khata yahi hai ki kyun jagta hun main

laun kahan se dhundh ke main apna ham-nawa
khud apne har khayal se takra chuka hun main

ai umr-e-rafta main tujhe pahchanta nahin
ab mujh ko bhul ja ki bahut bewafa hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close