KHud apna eatibar ganwata raha hun main

khud apna eatibar ganwata raha hun main
zarre ko aaftab batata raha hun main

andhi hawa ko dun koi ilzam kis liye
apne diye ko aap bujhata raha hun main

ek umr ke riyaz ka hasil na puchhiye
reg-e-rawan pe naqsh banata raha hun main

har chand maslahat ka taqaza kuchh aur tha
aaina har kisi ko dikhata raha hun main

bachchon ke hanste-khelte chehron ki ot mein
apne dukhon ki tis chhupata raha hun main

ye aur baat khud mere panw na uth sake
auron ko rasta to dikhata raha hun main

'saifi' fishaar-e-gham ki tamazat ke bawajud
hairat hai apni baat nibhata rahun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close