KHud apni rah ki diwar kar diya gaya hun

khud apni rah ki diwar kar diya gaya hun
ye kis azab se do-chaar kar diya gaya hun

wo chashm thi use binai le gai apni
main aaina tha so zangar kar diya gaya hun

main ek raaz tha makhfi tha khak mein apne
abhi abhi hi main izhaar kar diya gaya hun

wo din bhi dur nahin dost ye kahenge miyan
ki main to aur bhi dushwar kar diya gaya hun

tamam aankhen mujhe dekhne ko aati hain
ajab tarah se numudar kar diya gaya hun

to kya dikhana hai sab ko hi rasta haq ka
to kya main qafila-salar kar diya gaya hun

mere mazar ki ye khak chhan le duniya
ki tere hath mein main mar kar diya gaya hun

ye ishq hai ya koi ramz hai nahin malum
badan se ruh se sarshaar kar diya gaya hun

bahut ghurur tha mujh ko wajud par 'jawed'
isi liye to nigun-sar kar diya gaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close