KHud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe

khud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe
khuli faza ki tamanna thi aur qafas mein rahe

bichhad ke mujh se azab un pe bhi bahut guzre
wo mutmain na kisi pal kisi baras mein rahe

main ek umr se un ko talash karta hun
kuchh aise lamhe the jo apni dastaras mein rahe

lahu ka zaiqa kadwa sa lag raha hai mujhe
main chahta hun ki kuchh to mithas ras mein rahe

kisi ka qurb mere dil ki raushni thahre
kisi ke aane se khushbu mere nafas mein rahe

suna hai us ki guzarti hai taza phulon mein
'zaman' jis ke liye shahr khar-o-khas mein rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close