KHud hi ruThe ho to phir is ka mudawa kyon ho

khud hi ruthe ho to phir is ka mudawa kyon ho
hum na kahte the ki han ranjish-e-beja kyon ho

har bashar apni pareshan-nazari ke ba-wasf
khud tamasha hai to phir mahw-e-tamasha kyon ho

dil ke bahlane ko ummid-e-karam rakhte hain
warna ye hum bhi samajhte hain ki aisa kyon ho

dasht jo meri tamanna na kare dasht nahin
khak jis mein na ude meri wo sahra kyon ho

ek lahza bhi jo paun gham-e-hasti se faragh
ek naya ranj pukare hai ki tanha kyon ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close