KHud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap

khud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap
khwab sharminda-e-tabir kiye ja chup-chap

khama-e-ranj-o-alam se rukh-e-kam-maegi par
nusrat-e-jawedan tahrir kiye ja chup-chap

ye amal bais-e-taskin-e-junun bhi hoga
jazba-e-ishq ki tamir kiye ja chup-chap

gham-e-dauran ki aziyyat bhi to dil sahta hai
gham-e-jaanan ko bhi jagir kiye ja chup-chap

zakhm gahre to ba-zid shauq mere karta raha
us masihai ki tadbir kiye ja chup-chap

maqsad-e-zindagi khulta hi chala jaega
apne dil mein use taswir kiye ja chup-chap

shairi se hai 'khayal' us ko shaghaf sheron mein
apne jazbaat ko taskhir kiye ja chup-chap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close