KHud main dhuni ramae baiThi hun

khud main dhuni ramae baithi hun
aaj khud ko bhulae baithi hun

jaane walon ka intizar nahin
apne raste mein aae baithi hun

us ki aankhon mein hai tilism koi
apna chehra lutae baithi hun

chand ko taish aa raha hai ki main
kyun nazar ko milae baithi hun

phul khilte hain mujh mein sheron ke
ek misra samae baithi hun

rahguzar ehtiram kar mera
main kisi ke bulae baithi hun

har khushi zard ho gai jaise
ek aziyyat bhulae baithi hun

aaine par to hai bharosa mujhe
us se kyun munh chhupae baithi hun

chubh rahi hai andheri raat mujhe
har sitara bujhae baithi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close