KHud mein utre aur tughyani se bahar aa gae

khud mein utre aur tughyani se bahar aa gae
aa ke gahrai mein hum pani se bahar aa gae

us ki raunaq mein bahut sunsan se lagte the hum
shahar se nikle to virani se bahar aa gae

lafz wo jin ko zaban tak lane ki himmat na thi
aakhir yak din meri peshani se bahar aa gae

dam-ba-khud us husn ko hi dekhte rahte the hum
yun barat tuta ki hairani se bahar aa gae

aastin mein pal rahe the lekin ek din yun hua
sanp aapas ki pareshani se bahar aa gae

wo talluq hum ko qaid-e-khwab jaisa tha 'zahir'
khul gain aankhen to aasani se bahar aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close