khud se bhi ek baat chhupaya karta hun apne andar ghair ko dekha karta hun apni surat bhi kab apni lagti hai aainon mein khud ko dekha karta hun armanon ke rup-nagar mein rah kar bhi khud ko tanha tanha paya karta hun gulshan gulshan sahra sahra barson se aawara aawara ghuma karta hun farzi qisson jhuti baaton se akasr sachchai ke qad ko napa karta hun