khuda ko bhule na jab tak hamein khuda na mila ye muddaa bhi ba-juz tark-e-muddaa na mila qadam qadam pe na kyun sajda-reziyan kar lun huzur-e-husn ye mauqa mila mila na mila kalim-e-tur ye kyun tur par giri bijli nigah-e-naz ko kya koi ba-wafa na mila uda ke le gai parwaz shauq-e-manzil tak adam ki rah mein koi shikasta-pa na mila qafas mein aae ajal ya maren nasheman mein do-roza zist ka hum ko kahin maza na mila junun-e-shauq ki khuddariyan maaz-allah mizaj-dan koi 'qaisar' ko rahnuma na mila