KHuda panah ki nok-e-zaban se upar tak

khuda panah ki nok-e-zaban se upar tak
bhara hua hai ye shair fughan se upar tak

mazid hansne ka mat kah ki hum pe wajib hai
na aaen us ke lagae nishan se upar tak

kam-ikhtilat hain lekin hain silsile dil ke
zamin se niche talak aasman se upar tak

dil-o-dimagh na chahen to mujh qadam ki majal
mile hue hain sabhi na-tawan se upar tak

hunar hami mein nahin warna yar pahunche hain
koi qalam koi zor-e-zaban se upar tak

kuen se nikla hun lekin hasin nahin hun main
so khud hi jaana padega yahan se upar tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close