KHudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibril

khudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibril
agar ho ishq se mohkam to sur-e-israfil
azab-e-danish-e-hazir se ba-khabar hun main
ki main is aag mein dala gaya hun misl-e-khalil
fareb-khurda-e-manzil hai karwan warna
ziyaada rahat-e-manzil se hai nashat-e-rahil
nazar nahin to mere halqa-e-sukhan mein na baith
ki nukta-ha-e-khudi hain misal-e-tegh-e-asil
mujhe wo dars-e-farng aaj yaad aate hain
kahan huzur ki lazzat kahan hijab-e-dalil
andheri shab hai juda apne qafile se hai tu
tere liye hai mera shola-e-nawa qindil
gharib o sada o rangin hai dastan-e-haram
nihayat is ki husain ibtida hai ismail
This is a great khalil dhantejvi shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close