KHudi ki fitrat-e-zarrin ke raaz-ha-e-darun

khudi ki fitrat-e-zarrin ke raaz-ha-e-darun
ada-shanas haqiqat mile koi to kahun

khudi agar hai to hain surkh-ru hayat-o-mamat
khudi nahin to hayat-o-mamat khar-o-zabun

khudi wo chiz hai nadan ki jis ke badle mein
mile jo daulat-e-kaunain bhi mujhe to na lun

alamaten hain ye sab ek mard-e-kaamil ki
khulus-e-ruh o yaqin-e-tamam o soz-e-darun

samajh saka na samajh kar bhi aaj tak koi
ye aab-o-gil ka fasana ye aab-o-gil ka fusun

meri nazar mein hai raaz-e-darun-e-mai-khana
magar ye soch raha hun kahun to kis se kahun

jinhen talash-e-sukun hai unhen ye kya malum
ki ek mahshar-e-khamosh hai jahan-e-sukun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close