khula mujh par dar-e-imkan rakhna mere maula mujhe hairan rakhna yahi ek marhala manzil na thahre yahi ek marhala aasan rakhna mere dil ka waraq nikle na sada koi khwahish koi arman rakhna ye dil taq-e-charagh-e-zar na thahre mere malik mujhe nadan rakhna mere haalat mujh ko chhu na paen mujhe har haal mein insan rakhna bhari rakhna mere maula ye aanhken dukhon ki barishon ka man rakhna mere sathi bhi mujh se be-nawa hain bisaten dekh kar tawan rakhna ye din kyunkar chadha wo shab dhali kyun mujhe aaya na itna dhyan rakhna mujhe bhi aam ya gumnam kar de ki ek aazar hai pahchan rakhna asir-e-umr ko aaya na ab tak kitab-e-hijr ka unwan rakhna hawa ki tarah sahra se guzar ja safar mein kya sar-o-saman rakhna