khule mein chhoD rakha hai magar saliqe se

khule mein chhod rakha hai magar saliqe se
bandhe hue hain parindon ke par saliqe se

hamin pe farz nahin sirf haq padosi ka
tumhein bhi chahiye rahna udhar saliqe se

kabhi se haalat-e-bimar-e-dil sambhal jati
ilaj karte agar chaara-gar saliqe se

hamare chahne wale bahut hi nazuk hain
hamari maut ki dena khabar saliqe se

bahut si mushkilen hael hain rah mein lekin
tamam umr kiya hai safar saliqe se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close