KHum na ban kar KHud-gharaz ho jaiye

khum na ban kar khud-gharaz ho jaiye
misl-e-saghar aur ke kaam aaiye

abr-e-rahmat sunte hain nam aap ka
khaksaron par karam farmaiye

aap aahu-chashm hain aahu nahin
hum se wahshat ki na lije aaiye

sabr rukhsat ho to jaane dijiye
be-qarari aae to thahraiye

jauhar-e-tegh-e-nigah khul jaega
munh na mere zakhm ka khulwaiye

dil mein hai dikhlaiye tasir-e-ishq
thandi sanson se unhen garmaiye

sard aahen bharte hain jab hum 'nasim'
kahte hain wo thande thande jaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close