KHush-amdid kahta gulon ka jahan tha

khush-amdid kahta gulon ka jahan tha
ek dasht-e-be-aman magar darmiyan tha

meri barhana pusht thi kodon se sabz o surkh
gore badan pe us ke bhi nila nishan tha

kis khema-e-malal mein raaten basar huin
kis gham-kade pe mehrban na-mehrban tha

raushan alao hote hi aaya tarang mein
wo qissa-go khud apne mein ek dastan tha

is samt girya-zari o kafur ki mahak
us samt khush-libasi thi aur itr-dan tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close