khush-guman har aasra be-asra sabit hua zindagi tujh se talluq khokhla sabit hua jab shikayat ki kabida-khatiri hasil hui sabr-e-mahrumi mera harf-e-dua sabit hua be-talab milti rahen yun to hazaron nematen the talab ki aas mein barham to kya sabit hua ru-ba-ru hote hue bhi hum rahe manzil se dur ek ana ka masala zanjir-e-pa sabit hua aah bhar kar chal diye sab hi tamasha dekh kar waqt par jo dat gaya wo dewta sabit hua tut kar bikhra mere dil se yaqin ka aaina main use samjha tha kya lekin wo kya sabit hua sans jo aaya badan mein tha wafa se ham-kanar aur jab wapas hua to bewafa sabit hua sar ke shaidai bahut mayus mahfil se uthe jab 'zafar' jaisa sukhan-war be-nawa sabit hua