KHush-mizaji ka dikhawa bhi nahin kar sakte

khush-mizaji ka dikhawa bhi nahin kar sakte
hum wo kahil hain jo itna bhi nahin kar sakte

wo sunate hain rihai ke farize sab ko
jo riha ek parinda bhi nahin kar sakte

kitne majbur hain hum aam si shaklon wale
khud ko ijad dobara bhi nahin kar sakte

chahte hain jise dushman ki nawasi nikli
ab to hum ishq adhura bhi nahin kar sakte

is liye banta nahin tanz tamashe pe mere
yan to kuchh log tamasha bhi nahin kar sakte

jism sanso ki sitamgar rawana se miyan
aisa bikhra hai ikattha bhi nahin kar sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close