KHush nahin aae bayaban meri virani ko

khush nahin aae bayaban meri virani ko
ghar bada chahiye is be-sar-o-samani ko

dhaal dun chashma-e-pur-harf ko aaine mein
apni aawaz mein rakh dun teri hairani ko

jada-e-nur ko thokar pe sajata hua main
dekhta rahta hun rangon ki pur-afshani ko

sar-e-sahra meri aankhon ka talatum jaga
mauja-e-reg ne sarshaar kiya pani ko

sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-nigaran hi to hai
jis ne tabinda rakha hai meri peshani ko

tujh se bhi kab hui tadbir meri wahshat ki
tu bhi mutthi mein kahan bhench saka pani ko

sard mausam ne thithurte hue suraj se kaha
chadar-e-abr to hai dhanp le uryani ko

'shahryar' apne kharabe pe hukumat hai meri
koi mujh sa ho to samjhe meri sultani ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close