khushi hai apni na koi malal hai apna wo be-dili hai ki jina muhaal hai apna na wo visal ke qisse na hijr ka rona bada ajib sa kuchh din se haal hai apna nigah-e-shauq ki is ko abhi kahan parwa abhi wo shakhs asir-e-jamal hai apna meri tarah bhi koi zabt-e-gham se kaam na le ki apne-ap se poshida haal hai apna hum aise sahab-e-fan aur ye shahr-e-na-pursan agar hain zinda to ye bhi kamal hai apna jo wo nahin na sahi yaad hi sahi us ki koi to hai jise 'khawar' khayal hai apna