KHushi mein dil ke dagh ko jala jala ke pi gaya

khushi mein dil ke dagh ko jala jala ke pi gaya
hawas ki tez aanch ko bujha bujha ke pi gaya

nazar ke sagaron mein jo bhari thi tu ne arghawan
teri hasin aankh se chura chura ke pi gaya

nasihaton ke darmiyan jo tak rahi thi jam ko
usi nigah-e-bad se main bacha bacha ke pi gaya

mili jo tere hath se to ho gaya nasha do-chand
raqib-e-ru-siyah ko dikha dikha ke pi gaya

qalil bhi mili kabhi to ki isi pe iktifa
badhi hui talab ko main daba daba ke pi gaya

jhuki jhuki nigah mein hazar kaif-o-mastiyan
usi nigah-e-naz ko utha utha ke pi gaya

falak pe kali badliyan qarib-e-ruh-e-dilkashi
piyale se piyale ko mila mila ke pi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close