KHushk aankhon se koi pyas na joDi humne

khushk aankhon se koi pyas na jodi hum ne
aas hum se jo sharabon ko thi todi hum ne

barha hum ko mila apne lahu mein wo sharar
apni dukhti hui rag jab bhi nichodi hum ne

jo sanwarne ko kisi taur bhi raazi na hui
bhad mein phenk di duniya wo nigodi hum ne

is tarah hum ne samundar ko pilaya pani
apni kashti kisi sahil pe na modi hum ne

jab koi chand mila dagh na dekhe us ke
aankh suraj se mila kar na sikodi hum ne

gard ghairat ke badan par jo nazar aai kabhi
der tak apni ana khub jhinjhodi hum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close