KHwab ka rishta haqiqat se na joDa jae

khwab ka rishta haqiqat se na joda jae
aaina hai ise patthar se na toda jae

ab bhi bhar sakte hain mai-khane ke sab jam-o-subu
mera bhiga hua daman jo nichoda jae

har qadam marhala-e-marg-e-tamanna hai magar
zindagi phir bhi tera sath na chhoda jae

aao phir aaj kureden dil-e-afsurda ki rakh
aao soi hui yaadon ko jhinjhoda jae

ho wo tauba ke ho saghar ke ho paiman-e-wafa
kuchh na kuchh aaj to mai-khane mein toda jae

zulf o rukh aaj bhi unwan-e-ghazal hain 'manzur'
rukh udhar gardish-e-ayyam ka moda jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close