KHwab mein aao mere rangin KHwabon ki tarah

khwab mein aao mere rangin khwabon ki tarah
padh sakun tum ko main rumani kitabon ki tarah

dijiye tashbih kya un ko mah-o-khurshid se
ek chehra un ka hai sau aaftabon ki tarah

chahe gar insan to ban sakti hai la-fani hayat
zindagi insan ki go hai hababon ki tarah

jaise mahfum-o-maani se hon aari sare hi
padhta hun ek ek chehre ko kitabon ki tarah

tishnagi sab ki bujhaen bahr-e-be-payan banen
ban ke duniya mein rahen hum kyun sarabon ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close