KHwab-o-KHayal ho gae yarane kis tarah

khwab-o-khayal ho gae yarane kis tarah
pal-bhar mein log ban gae anjaane kis tarah

kyun kar khulus-o-shauq mein badlengi nafraten
ye fasle mitenge khuda-jaane kis tarah

bolo zaban se tum na koi guftugu karo
dil ka tumhaare haal koi jaane kis tarah

main kiya ki ek chehra hun jamm-e-ghafir mein
wo mujh ko is hujum mein pahchane kis tarah

majnun to ek nam tha gard-o-ghubar ka
dil mein basa liya use laila ne kis tarah

khud apne hi wajud se wahshat-zada hain log
aabaadiyon mein aa gae virane kis tarah

iqbaal tum ne jo bhi kaha sach kaha magar
sach baat bhi tumhaari koi mane kis tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close