fasle hain sadiyon ke aur zindagi tanha

fasle hain sadiyon ke aur zindagi tanha
dard-e-sar do-alam ka ek aadmi tanha

shoala-e-hawadis ne hausla diya warna
bujh ke rah gai hoti sham-e-zindagi tanha

zindagi mein aamezish un ki rang bharti hai
dosti hi kaam aae aur na dushmani tanha

puchhta hai kab koi haal in charaghon ka
raushni dikhate hain jo gali gali tanha

thi nafas nafas khushbu tha nazar nazar chehra
din guzar gaya tanha raat kat gai tanha

teri parsai ka rah gaya bharam waiz
jurm hai magar nadan shaghl-e-mai-kashi tanha

guzre aise lamhe bhi mujh pe barha 'athar'
main ne khud ko paya hai anjuman mein bhi tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close