KHwabon ki tilsmati guphaon se nikal ke

khwabon ki tilsmati guphaon se nikal ke
dekho kabhi virana-e-jaan aankh ko mal ke

har lamha hai ek aaina-e-umr-e-guzishta
peshani-e-imroz pe bhi zakhm hain kal ke

tai ho na saka marhala-e-dasht-e-tamanna
diwar bani panw ki zanjir pighal ke

ek roz to ye dil ki tadap lab pe bhi aae
ek roz to ye saghar-e-labrez bhi chhalke

dekha jo kabhi dil ke dariche mein simat kar
sadiyan milen simti hui aaghosh mein pal ke

haijaan se hain gunji hui dhyan ki galiyan
dil mein utar aae hain nigahon ke dhundalke

'khawar' abhi kuchh yaad ki shamen hain farozan
raushan hain dar-o-baam abhi meri ghazal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close