KHwah kar insaf zalim KHwah kar bedad tu

khwah kar insaf zalim khwah kar bedad tu
par jo fariyaadi hain un ki sun to le fariyaad tu

dam-ba-dam bharte hain hum teri hawa-khwahi ka dam
kar na bad-khuon ke kahne se hamein barbaad tu

kya gunah kya jurm kya taqsir meri kya khata
ban gaya jo is tarah haq mein mere jallad tu

qaid se teri kahan jaenge hum be-baal-o-par
kyun qafas mein tang karta hai hamein sayyaad tu

dil ko dil se rah hai to jis tarah se hum tujhe
yaad karte hain kare yun hi hamein bhi yaad tu

dil tera faulad ho to aap ho aaina-war
saf yak-bari sune meri agar rudad tu

shad o khurram ek aalam ko kiya us ne 'zafar'
par sabab kya hai ki hai ranjida o nashad tu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close