KHwah patthar KHwah shisha aadmi

khwah patthar khwah shisha aadmi
reza reza ho ke bikhra aadmi

lamha lamha dhup se tap kar hua
dasht-e-ghurbat mein sunahra aadmi

ek nai takhliq ka suraj liye
fikr ke zine se utra aadmi

zindagi ke aaine mein roz-o-shab
dekhta hai apna chehra aadmi

bhar ke aankhon mein sulagti aarzu
barf ki wadi se guzra aadmi

umr bhar karta nahin fash apna raaz
kis qadar hota hai gahra aadmi

saat aisi bhi kabhi aati hai 'naz'
khud bhi ban jata hai bahra aadmi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close