ki is se pahle KHizan ka shikar ho jaun

ki is se pahle khizan ka shikar ho jaun
saja lun khud ko mukammal bahaar ho jaun

utarne ko pahadon se dhup ghati mein
main koi chid koi dewdar ho jaun

nahin hun tujh se main wabasta ai jahan lekin
ye sochta hun ki ab hoshiyar ho jaun

na bhae log yahan ke na shahr hi ye mujhe
magar main khud se hi kaise farar ho jaun

bhale hon taish mein lahren magar kise parwah
main kud jaun to dariya ke par ho jaun

koi jawab to suraj ke zulm ka bhi ho
main barishon ki jo thandi phuwar ho jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close