ki phir paida meri KHatir koi mushkil na ho jae

ki phir paida meri khatir koi mushkil na ho jae
pareshan hun ye mera dil kahin buzdil na ho jae

bhanwar mein meri kashti ko yahi ehsas rahta hai
dubone mein mera ye nakhuda shamil na ho jae

isi ek khauf se main apni palken tak nahin jhapkun
ki us ka chehra aankhon se meri ojhal na ho jae

mujhe is baat ki har lamha itni fikr rahti hai
ki us ki yaad se mera ye dil ghafil na ho jae

kabhi us ki jafaon ki shikayat karna bhi chahun
magar phir sochti hun wo kahin bad-dil na ho jae

bhala thak haar kar baithun 'robina' to kahan baithun
jise main chhodna chahun meri manzil na ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close