kiran kiran ye kisi dida-e-hasad mein hai

kiran kiran ye kisi dida-e-hasad mein hai
har ek charagh hamara dhuen ki zad mein hai

jise nikala hai hindson se zaicha-gar ne
baqa hamari usi panch ke adad mein hai

har ek shakhs ki qamat ko nap aur bata
mere alawa yahan kaun apne qad mein hai

gharon ke sahn kuchh aise sikud simat gae hain
har ek shakhs makin jis tarah lahad mein hai

lage hain shakhon pe jis din se phul-pat nae
har ek ped haweli ka chashm-e-bad mein hai

'nabil' aise adhure hain roz-o-shab jaise
mera azal kisi andesha-e-abad mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close