kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai

kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai
tere dar se jo palat aae kidhar jata hai

manzar-e-am pe aata hai to dar jata hai
ashk mera mere andar hi bikhar jata hai

kya hua chhod ki har bar agar jata hai
do ghadi mujh se magar baat to kar jata hai

aaj wo zakhm ki tasir se tar jata hai
wo jo kahta tha miyan zakhm hai bhar jata hai

kis ki yaadon ke diye zakhm mujhe chubhte hain
kaun hai jo meri aankhon mein thahar jata hai

aadmi dil mein utar jae to zinda hai magar
aadmi dil se utar jae to mar jata hai

kis ka khun hai ki ye mitti bhi tadapne lagi hai
nok-e-neza pe ye kis mard ka sar jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close