kis ne kaha ki mujh ko ye duniya nahin pasand bas samne ka thoda sa hissa nahin pasand barson se is ke sath guzar kar rahe hain hum har-chand zindagi ka rawayya nahin pasand suraj tulua hote hi dar band ho gae ye kaise log hain ki sawera nahin pasand khwahish to hai mujhe bhi ki manzil mile magar yun dusron ki rah pe chalna nahin pasand main jaanta hun jaan hi le legi tishnagi lekin mujhe khushamad-e-dariya nahin pasand tarif kar rahe the sabhi zist ki 'salim' main ne bhi kuchh qarib se dekha nahin pasand