kis qayamat ka na jaane wo andhera hoga

kis qayamat ka na jaane wo andhera hoga
jis ne khurshid-e-jahan-tab ko ghera hoga

han isi parda-e-zulmat se ubhregi sahar
panja-e-shab se kahan qaid sawera hoga

kis se us husn ka afsana kahun jis ke liye
main ne socha bhi nahin tha kabhi mera hoga

raat bhar di hai dar-e-dil pe kisi ne dastak
wo ye kahta hai nahin koi lutera hoga

aaj ji bhar ke use dekh le 'kausar' sar-e-baam
jaane un galiyon mein phir kab tera phera hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close