kis se paiman-e-wafa bandhte ho waqt ka aab-e-rawan hai ye to koi sun lega to charcha hoga apne dil se bhi ye baaten na karo koi bajti hui shahnai hai jhank kar parda-e-gul mein dekho jab sitaron ke kanwal khilte hain jhilmilata hai tumhaara partaw dil ke aangan mein kiran nachegi chandni raat mein aawaz to do zakhm phir se na hare ho jaen mujh se yun pyar ki baaten na karo aap ka hamdam-e-dairina hun sar uthao meri jaanib dekho