kise bataen ki zad-e-safar gaya kab ka raha hi kya hai gham-e-mo'tabar gaya kab ka mujhe bhi dekh ki main ek naqsh-e-hairat hun dikha ke aaina aaina-gar gaya kab ka talash sahra-ba-sahra jise kiya main ne wo meri ruh ke andar utar gaya kab ka dua rahin-e-asar hai ye baat sach hai magar meri dua se yaqinan asar gaya kab ka na sang-e-mil na jada na koi manzil-e-shauq akela main hun mera ham-safar gaya kab ka koi umid na khwahish na aarzu baqi ki mere jism ka insan mar gaya kab ka 'habab' ek tanawar darakht tha main bhi pa tut tut ke aakhir bikhar gaya kab ka